Friday, August 10, 2018




Kya sachmuch mera desh Mahan hai....
Issi prashan se mera antarman Atama andar ka her kand pareshaan hai....



Iss dharti  ko Maa kaha jata hai
Aur haar roj na jaane kitni Jitni jagti Maaon ko patadit kiya jata hai...



Karan kuch bhi ho lakin hamesha ussi ki awaz gale main fansi rha jaati hai...
Aur fir bhi iss desh ko log mahan kahte hai to mujhe hansi aati hai....



Usse chup karane ke liye sadiyam se kitni paramparye banayi gayi....
Kabhi Sita banke Vanvas bhijvayi gayi



Kabhi kissi dharamraj dwara dhaav per lagayi gayi
kabhi astitav ki raksha ke liye Sati banke jalayi gayi



Kabhi jagat janani gharbh main hee maut ke munh sulayi gayi
Har Yug main hamesha ek Satri hee kyoon suli pe chadayi gayi



Kya usse bhoj se jayda use kuch samjha jayega.....
Kya kabhi uske saath hue hadse ka Jimewar usse nahi tharaeyga

Kya kabhi use ek beti bahu ke faraz ke pare insaan samjheyga
Kya kabhi uski udaan se asmaan lahreyga,,,,
!!!!Shayad kissi deen mera desh main sach much mahaan ban jayega!!!!





No comments:

Post a Comment