Maan to geet
Yeh dil itna baichan kyoon hota hai tumse
Tumhe pane ki khushi isse aab chupti nahi hai
Tumne bhi mana hamare vajood hai iss kadar jude
Ki tumhare pass aane ki kashihs aab rukti nahi hai
Har pal har ghadhi rahoon saath tumhare
Aab yeh dooriyan is kadar khalti kyon hai
Tum ho main hoon varna main kuch nahi
Tumhari sason se meri sasen chalti kyoon hai
Yeh hai koi karishma ya tumhare pyaar ka asar
Tum sang zindsgi itne khoobsurat rang badalti kyoon hai
Paas ane ko tumhare yeh dil kyoon hota hai itna baichan
Rukte nahi yeh zazbat aab, is kadar niyat fisalti kyoon hai
Chunna chahta hoon har gum ko tumahare
Tumhare dard se atama meri jalti kyoon hai
Jin aankhon ka padhne ka dawa kiya tha maine
Unko iss qara nam dekhke yeh jaan nikalti kyoon hai
Itne kyoon , kyoon hai hamare beech main
Aur tumhari aankhon ki paheli mujhse bhoojthi nahi hai
Iss riste main aab na ho koi jijhak na hi koi sharam
Rahe na aba doori koi yeh khawaish aab chupti nahi hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------
Maan to geet
Tumko smajhna to tha bahut mushkil
Kyoon tumhe main khud ko samjha na paaya
Tumse upper to khuda bhi nahi tha
Kyoon tumhe yeh yakin dikhla na paaya
Ek ek pal se maine jo ashianya tha buna
Kyoon use yoon bikharne se baacha na paaya
Saachai hee to pyaar tha mere liye
Kyoon inn aakhon ki saach padha na paaya.
Visvas hota hai ya nahi hai hota
Kyoon tumhe visvas khud pe dila na paaya
Tumhari khushiyon se chalti thi jindgi meri
Kyoon isse maut se baacha na paaya
Galti to meri hi thi
Bharosa kiya kissi pe khud se jayda
Pyaar kiya kissi se khud se jayda
Ibadat ki kissi ki khud se jayda
To kaise karoon shikva shikayat kissi se
Jab aab bhi tumhe khud se juda main ker na paaya
Tum fir bhi chal diye naye asman ki talash main
Aur main tumhare pairo ke nishan aab tak mita na paaya
No comments:
Post a Comment